.comment-link {margin-left:.6em;}
Monday, July 31, 2006
Man karta hai.............
Deti hein dastak yaaden dil pe
mujhey wapas wahi le jati hein
jahan se shuru hui yeh dastan
yadein safar ki....ek aur safar pe le jati hun

Dekhta hun hansi labon pe
toh chura kar rakhne ka man karta hai
aansuon ka karwan aagae hai...
khud ko sabak dene ko man karta hai

Manzil samjhta tha jisko
samajh ko samjhane ka man karta hai
mil ka pathar bhi nahi nikla
ab samajh ke bhul jane ko man karta hai

Khush tha jis pal mein...
saans rok hansi sunne ko man karta hai
bas pal bhar hi ka woh pal tha
pal do pal aur hansne ko man karta hai

Nikla tha dhundne khud ko ghar se
khud ko pane ka man karta hai
ruk gaya soch kar mujhse behtar humsafar mil gaya
tanha safar aur bhi hai …yaad dilane ko man karta hai.............
 
posted by Navin Parasrampuria at 12:01 AM | Permalink |


0 Comments: